Thursday, June 3, 2010

zindagi gar ho intezaar maut ki



bhavnao ki lahren roz uthti hain ankhe khulne ke pal se
aur tham jati hain band hone ke baad
jaise roz subha ka zinda insaan shaam ko mar jata ho

aisa sabhi ke saath hota hai
ya phir shayad nahi hota
magar mujhe ye ahsaas hamesha hota hai
zinda hone ka ahsaas aur maut ke kareeb aane ka bhi
har pal zindagi ka maut ka bhi lagta hai
har khubsurat cheez me kshanbhangurta nazar aati hai

kabhi kabhi mujhe apna shareer sirf mans ka tukra lagta hai

aur apne aap ko band mahsoos karti hoon
khud me kaid ......
aas paas koi nahi jise samjha sakoon
kya kisi ko mujh sa kabhi nahi lagta

ya fir meri dimagi halat theek nahi

magar meri soch to sach hai...maut to ani hai

is soch ke sath jeena bahot mushkil hota ja raha hai
khushi ke pal bhi khush nahi karte
aur khushiya jati hui dikh jati hain
mere apne mujhe marte hue dikhte hain

ye khoobsoorat zindagi jiun kaise agar hamesha sab kuch khatam hota hua dikhe to !!

raham kar...................

1 comment:

  1. jindgi ke bare me apke ahsas nakaphi hia sayad ap apni bhawnaon se mohit hokar usme band jati hai.bura mat manye mera anuman galat ho sakta haI KYUKI MAINE APKO DEKHA NAHI HAI. par har sachaye ka dusra pahlu hota hai ak bar dusre pahlu se gaur kar dekhiye. vijay kumar1701@gmail .com

    ReplyDelete